Lab Pe Pabandi To Hai ehsaas Par Pehra To Hai
Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahwal-e-Bashar Kehna To Hai
Khon-e-Ada Say Na Ho Khon-e-Shahedon Hi Say Ho
Kuch Na Kuch Is Dour May Rang-e-Chaman Nikhra To Hai
Apni Ghairat Baich Dalen Apna Maslak Chod Den
Rahnumaon May Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai
Hai Jinhen Sab Say Zyada Dava-e-Hubul-Watan
Aj Un Ki Waja Say Hub-e-Watan Ruswa To Hai
Bujh Rahay Hai Ak Ak Kar Kay Aqedoon Kay Diye
Is Andheray Ka Bhi Lekin Samna Karna To Hai
Jhoth Kyon Bolen Farogh-e-Maslahat Kay Nam Par
Zindagi Pyari Sahi Lekin Hamay Marna To Hay |